Thursday, 19 August 2010

sapna

mera koi sapna hi nahi hai
ya maine sapna dekhna hi chod diya hai
mujhe apne aap se koi ummeed nahi hai
ya maine ummeed karni chod di hai
meri koi pasand hi nahi hai
ya maine khud ko napasand karna shuru kar diya hai
bahar ki duniya mujhe raas nahi aati ha
mere andar sab kuch toota hooaa hai
main apni tootan kisse kahoon
tumse kahte hue main darta hoon
aur doosro ko main samjha nahi sakta
tum hi merei aasha ho
ummeed ki aakhiri kiran ho
tum hi woh ho
jo meri tootan ko samet sakti hai
is bikhre hue birene ko sametkar
ek khubsurat sa gulshan bana sakti ho
par kya main tumhe yah samjha paoonga
shaayad nahi lekin kyon
shaayad mere andar ek dar hai
yadi tum na samajh saki
ya tumne is bikhre hue gulshan ko jodne se inkar kar diya
shaayad tab main vilin ho jaaoon bikhar jaoon
apne tootan ke andar ya bahar
shayaad tumhere liye ek sadharan si na ho
per mere liye to yah ek bikhrav hai
apne ummeedo ke bikherne ki
aashaaoo ke tootne ki
shayad main isliye tumhe kahne se darta hoon
shyad main khue ke bikherne se nahi darta
per ummeddon ki akhiri kiran ke doobne se darta hoon

No comments: